ye hain jo aastin mein khanjar kahan se aae tum sikh kar ye khu-e-sitamgar kahan se aae jab tha muhafizon ki nigahbaniyon mein shahr qatil fasil-e-shahr ke andar kahan se aae kya phir mujhe ye andhe kuen mein giraenge ban kar ye log mere baradar kahan se aae ye dasht-e-be-shajar hi jo thahra to phir yahan saya kisi shajar ka mayassar kahan se aae uslub mera sikh liya tum ne kis tarah lahje mein mera dhab mere tewar kahan se aae mazi ke aainon pe jila kaun kar gaya pesh-e-nigah phir wahi manzar kahan se aae daur-e-khizan mein kaise palat kar bahaar aai pazh-murda shakh par ye gul-e-tar kahan se aae 'mohsin' is ikhtisar pe qurban jaiye kuze mein band ho ke samundar kahan se aae