main awam mein hun lekin nahin khu-e-amiyana na amal khushamdana na sukhan khushamdana teri aur zindagi hai meri aur zindagi hai main bulandiyon ka juya to asir-e-ashiyana mujhe ras hi na aai kabhi na-qishon ki sohbat mere jism-e-na-tawan mein nahin ruh-e-tajirana mere khizr ke qadam hain mujhe mashal-e-manazil mere dida-e-talab mein hai nigah-e-mujrimana gham-o-ranj ka chhupana bhi hai kar-e-zarf lekin hai khushi ko zabt karna rah-o-rasm-e-aqilana teri tamkanat agar hai kisi dusre ke bal par ye chalan hai baghiyana ye qadam hai mujrimana mujhe khizr-e-nau ki hajat nahin rah-e-bandagi mein mere maslak-e-wafa mein ye rawish hai kafirana