ye hasb-e-aql to koi nahin saman milne ka magar duniya se le jawenge hum arman milne ka ajab mushkil hai kya kahiye baghair-az-jaan dene ke koi naqsha nazar aata nahin aasan milne ka hamein to khak mein ja kar bhi kya kya be-kali hogi jab aa jawega us ghuncha-dahan se dhyan milne ka kisi se milne aae the so yan bhi ho chale ek dam kahe deta hun ye mujh par nahin ehsan milne ka 'nazir' ek umr hum us dil-ruba ke wasl ki khatir bahut roe bahut chikhe pa kya imkan milne ka hamari be-qarari iztirabi kuchh na kaam aai wo khud hi aa mila jab waqt aaya aan milne ka