sar apne ko tujh par fida kar chuke hum

sar apne ko tujh par fida kar chuke hum
haq-e-ashnai ada kar chuke hum

tu samjhe na samjhe hamein sath tere
jo karni thi ai bewafa kar chuke hum

khuda se nahin kaam ab hum ko yaro
ki ek but ko apna khuda kar chuke hum

main puchha mera kaam kis din karoge
to yun munh phira kar kaha kar chuke hum

ghuras le tu ab un ko chire mein apne
tamasha-e-zulf-e-dota kar chuke hum

tu jawe na jawe jo karni thi hum ko
samajat teri ai saba kar chuke hum

na bolenge pyare teri hi sunenge
tu dushnam de ab dua kar chuke hum

kabhu kaam apna kisi se na nikla
bahut khalq ki iltija kar chuke hum

ladi 'mushafi' aankh jis se ki apni
par aakhir use aashna kar chuke hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close