ye hasin log hain tu inki murawwat pe na ja

ye hasin log hain tu in ki murawwat pe na ja
khud hi uth baith kisi izn o ijazat pe na ja

surat-e-shama tere samne raushan hain jo phul
un ki kirnon mein naha zauq-e-samaat pe na ja

dil si check-book hai tere pas tujhe kya dhadka
ji ko bha jae to phir chiz ki qimat pe na ja

itna kam-zarf na ban us ke bhi sine mein hai dil
us ka ehsas bhi rakh apni hi rahat pe na ja

dekhta kya hai thahar kar meri jaanib har roz
rauzan-e-dar hun meri did ki hairat pe na ja

tere dil-sokhta baithe hain sar-e-baam abhi
baal khole hue taron bhari is chhat pe na ja

meri poshak to pahchan nahin hai meri
dil mein bhi jhank meri zahiri haalat pe na ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close