ye hasti mustaqil aazar bhi hai magar hum ko isi se pyar bhi hai guzarna rahguzar-e-zindagi se bahut aasan bahut dushwar bhi hai kabhi ye sar hai wajh-e-sarfaraazi kabhi dosh-e-ana par bar bhi hai ubharta tutta ye aks mera mera dushman bhi mera yar bhi hai irade jis ke hain tufan-badaman usi ke hath mein patwar bhi hai hamare samne tum hi nahin ho hamare samne diwar bhi hai jamal-e-fikr hai mear 'jauhar' isi se azmat-e-fankar bhi hai