ye hath apna mere hath mein thama dije thaka hua hun zara dil ko hausla dije bas ab mile hain to kije na aas-pas ka khauf jo sang-e-rah mile panw se hata dije ye aur daur hai aur sab yahan mujhi se hain wo kohkan ki hikayat sab bhula dije nahin hai aap ko fursat agar tawajjoh ki to main bhi lautta hun ghar ko aa gaya dije mera wajud bhi hai aap ki jabin ka dagh use bhi harf-e-ghalat ki tarah mita dije kal aap ne jo chhudaya to chhut sakega na hath jo uljhanen hain mujhe aaj hi bata dije ye khel khela hai jab pyar ka to phir ai dil ab apne-ap ko bhi daw par laga dije tamam-umr bhatakti rahi nazar ki kahin mile koi jise nazrana-e-wafa dije meri to jumbish-e-lab bhi hai na-khushi ka sabab ab aai hai koi tarz-e-bayan sikha dije wafa hai jurm to iqrar-e-jurm hai mujh ko ye main hun ye mera dil lijiye saza dije wo sahme sahme judai ke muztarib lamhe meri nigah mein ek bar phir basa dije gaya nahin hai abhi daur aap ka 'anjum' jo dil udas ho phir se use sada dije