sar ko chaha bhi uThana to uThaya na gaya

sar ko chaha bhi uthana to uthaya na gaya
kar ke sajda tera phir hosh mein aaya na gaya

jalwa-e-tur ka ho dekhne wala be-khud
ye bhi ek raaz tha ab tak jo bataya na gaya

tu ne kis naz se dekha tha azal mein in ko
aaj tak hosh mein diwanon se aaya na gaya

ta-dam-e-zist na aaya mere name ka jawab
nama-bar mujh ko barabar hai gaya ya na gaya

wo mitaenge bhala kya meri hasti 'afqar'
dahr mein naqsh-e-wafa jin se mitaya na gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close