ye hikayat tamam ko pahunchi zindagi ikhtitam ko pahunchi raqs karti hui nasim-e-sahar subh tere salam ko pahunchi raushni ho rahi hai kuchh mahsus kya shab aakhir tamam ko pahunchi shab ko aksar kalid-e-mai-khana shaikh-e-ali-maqam ko pahunchi shahr kab se hisar-e-dard mein hai ye khabar ab awam ko pahunchi pahle do ek qatl hote the naubat ab qatl-e-am ko pahunchi sab ka anjam ek jaisa hai subh-e-raushan bhi sham ko pahunchi maut bilkul qarib hai shayad subh ko pahunchi sham ko pahunchi