jaanta hun ki kai log hain behtar mujh se phir bhi khwahish hai ki dekho kabhi mil kar mujh se sochta kya hun tere bare mein chalte chalte tu zara puchhna ye baat thahar kar mujh se main yahi soch ke har haal mein khush rahta hun ruth jae na kahin mera muqaddar mujh se mujh pe mat chhod ki phir baad mein pachhtaega faisle thik hi ho jate hain akasr mujh se raat wo khun rulati hai udasi dil ki rone lagta hai lipat kar mera bistar mujh se ahd-e-aghaz-e-mohabbat tere anjam ki khair ab uthae nahin uthta hai ye patthar mujh se