ye hua maal hubab ka jo hawa mein bhar ke ubhar gaya ki sada hai lutma-e-mauj ki sar-e-pur-ghurur kidhar gaya mujhe jazb-e-dil ne ai juz bahak ke rakha qadam koi mujhe par lagae shauq ne kahin thak ke main jo thahar gaya mujhe piri aur shabab mein jo hai imtiyaz to is qadar koi jhonka baad-e-sahar ka tha mere pas se jo guzar gaya asar us ke ishwa-e-naz ka jo hua wo kis se bayan karun mujhe to ajal ki hai aarzu use wahm hai ki ye mar gaya tujhe ai khatib-e-chaman nahin khabar apne khutba-e-shauq mein ki kitab-e-gul ka waraq waraq teri be-khudi se bikhar gaya kise tu sunata hai ham-nashin ki hai ishwa-e-dushman-e-aql-o-din tere kahne ka hai mujhe yaqin main tere darane se dar gaya karun zikr kya main shabab ka sune kaun qissa ye khwab ka ye wo raat thi ki guzar gai ye wo nashsha tha ki utar gaya dil-e-na-tawan ko takan ho mujhe us ki tab na thi zara gham-e-intizar se bach gaya tha nawed-e-wasl se mar gaya mere sabr-o-tab ke samne na hujum-e-khauf-o-raja raha wo chamak ke barq rah gai wo garaj ke abr guzar gaya mujhe bahr-e-gham se ubur ki nahin fikr ai mere chaara-gar nahin koi chaara-kar ab mere sar se aab guzar gaya mujhe raaz-e-ishq ke zabt mein jo maza mila hai na puchhiye mai-e-angbin ka ye ghunt tha ki gale se mere utar gaya nahin ab jahan mein dosti kabhi raste mein jo mil gae nahin matlab ek ko ek se ye idhar chala wo udhar gaya agar aa ke ghussa nahin raha to lagi thi aag ki bujh gai jo hasad ka josh faro hua to ye zahr chadh ke utar gaya tujhe 'nazm' wadi-e-shauq mein abas ehtiyat hai is qadar kahin girte girte sambhal gaya kahin chalte chalte thahar gaya