ye hujum-e-rasm-o-rah duniya ki pabandi bhi hai ghaaliban kuchh shaikh ko zom-e-khirad-mandi bhi hai bijliyon se sazishen bhi kar raha hai baghban hum chaman walon ko hukm-e-ashiyan-bandi bhi hai hazrat-e-dil ko khuda rakkhe wahi hain shorishen dard-e-mahrumi bhi soz-e-arzumandi bhi hai mai-kade ki istelahon mein bahut kuchh kah gae warna is mahfil mein dastur-e-zaban-bandi bhi hai us ke jalwon ki fusun-sazi musallam hai magar kuchh nigah-e-shauq ki is mein hunar-mandi bhi hai us ne 'taban' kar diya aazad ye kah kar ki ja teri aazadi mein ek shan-e-nazar-bandi bhi hai