zahr-e-gham khub piya hum ne sharabon se bache jhel kar kitne azabon ko azabon se bache sochne baithen to soche hi chale jate hain khauf kanton ka ajab tha ki gulabon se bache kitne masum the chehre nahin dekhe tum ne wo jo rah kar bhi naqabon mein naqabon se bache jagta ho to na dekhe koi mahlon ki taraf kis tarah soya hua aadmi khwabon se bache is hikayat mein koi jhut na kar de shamil is mein sachchai agar hai to kitabon se bache kash ulat de koi sahra mein samundar la kar qafila dub hi jae to sarabon se bache