ye huryan-e-farangi dil o nazar ka hijab bahisht-e-maghrabiyan jalwa-ha-e-pa-ba-rikab dil o nazar ka safina sambhaal kar le ja mah o sitara hain behr-e-wajud mein girdab jahan-e-saut-o-sada mein sama nahin sakti latifa-e-azali hai fughan-e-chang-o-rabab sikha diye hain use shewa-ha-e-khanqahi faqih-e-shahr ko sufi ne kar diya hai kharab wo sajda ruh-e-zamin jis se kanp jati thi usi ko aaj taraste hain mimbar o mehrab suni na misr o filistin mein wo azan main ne diya tha jis ne pahadon ko rasha-e-simab hawa-e-qurtaba shayad ye hai asar tera meri nawa mein hai soz-o-surur-e-ahd-e-shabab