ye ishq ajab lamha-e-tauqir hai jaanan khud mera khuda us ki hi tafsir hai jaanan jo nam hatheli ki lakiron mein nahin tha kyun aaj talak dil pe wo tahrir hai jaanan us khwab ki tabir to mumkin hi nahin thi aankhon mein magar us ki hi tasir hai jaanan mana ki tere hathon mein hain phul abhi tak lekin tere pairon mein jo zanjir hai jaanan kya jaaniye kis roz bikhar jae kahin bhi is aas ki dil mein jo ek tanwir hai jaanan ye rog kahin mujh ko hi mismar na kar de aa laut kar aa tu hi to iksir hai jaanan tu hijr mein dubi hui nayya ka kinara jiwan ki tere pas hi tadbir hai jaanan ye zakhm judai ke kabhi silne nahin hain tu jaan le apni yahi taqdir hai jaanan us aag ke shoalon mein wo phulon ka tabassum ek sajda-e-be-misl ki taswir hai jaanan ab din ki talab hi nahin 'shahin' mujhe to ek sham hi ab to meri jagir hai jaanan