ye ishq kal tujhe husn-e-jawan mile na mile na der kar ki ye jins-e-giran mile na mile buton se mil ke bhi aaram-e-jaan mile na mile nazar mile to mizaj-e-butan mile na mile main aaj hi use kyun sarf-e-dil na kar dalun ye khun ki bund mujhe kal yahan mile na mile hadis-e-shauq payambar talash kar legi zaban ki kaun zarurat zaban mile na mile nigah-e-shauq ne dekha hai ek hasin ufuq meri jabin ko tera aastan mile na mile gale laga ke kiya nazr-e-shoala-e-atish qafas se chhut ke phir aashiyan mile na mile mata-e-shauq ko ashkon ke sath bhej bhi dun phir us ke baad koi karwan mile na mile chalo qubul bhi kar lo mere sujud-e-niyaz ab un ko aur koi aastan mile na mile hayat-e-fani-e-'mulla' ki lazzaton ki qasam bala se zindagi-e-jawedan mile na mile