zindagi go kushta-e-alam hai phir bhi rahat ki ummid-e-kham hai han abhi teri mohabbat kham hai tere dil mein kawish-e-anjam hai ishq hai main hun dil-e-nakaam hai is ke aage bas khuda ka nam hai aa kahan hai tu fareb-e-arzu aaj nakaami se lena kaam hai main wahi hun dil wahi arman wahi ek dhoka gardish-e-ayyam hai apne ji mein ye ki duniya chhod den aur duniya ko hamin se kaam hai jal chuke chashm-e-aizza mein charagh so bhi ja 'mulla' ki waqt-e-sham hai