ye jaan-gudaz safar dam-e-khwab ho na kahin rawan hai jis mein safina sarab ho na kahin yun hi utarta na ja sard gahre pani mein chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin khada jo jhankta hai kab se garm kamron mein gali mein thithura hua mahtab ho na kahin hawa ye kaun si chalti hai aar-par mere khula hua kisi khwahish ka bab ho na kahin dilon pe kyun nahin kartin asar teri baaten zamin to thik hai pani kharab ho na kahin ghubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit garaj raha hai jo sar mein sahab ho na kahin sajae phirta hai wo jis ko coat par 'shahin' mere hi khun ka mahakta gulab ho na kahin