shikayat ke ewaz hum shukr karte hain sanam tere maza dene lage kuchh sahte sahte ab sitam tere na puchh ab mujh se tu meri umidon ki ye surat hai ki hain bhi aur nahin bhi jis tarah pur-lutf kam tere jidhar tu ne kiya rukh zer-e-pa mera tasawwur tha na bawar ho to dekh aankhon mein hain naqsh-e-qadam tere lab-e-jaan-bakhsh-e-jaanan kab ijazat denge marne ki qayamat tak na dekhenge qadam khwab-e-adam tere nahin rakhta koi sarmaya-e-amal pas apne bharose ke liye aashiq ke kafi hain karam tere tamanna ghair ki karna khilaf-e-rasm-e-ulfat hai main ehsan-e-ajal kyun lun nahin hain kya sitam tere zara dekhen to kyun kar dam nikal jata hai sadmon se firaq-e-dil-ruba aaj imtihan karte hain hum tere mujhe bhule nahin pas-e-mohabbat us ko kahte hain shab-e-waslat mein bhi hain duri-e-jaanan karam tere hujum-e-be-khudi mein ai 'nasim' ab pas-e-mani kya ijazat de bura achchha likhen jo kuchh qalam tere