ye jaante hue ki nadi hai chadhao par hum bhi chale hain baith ke kaghaz ki naw par jalte hue nagar ke yahi zimma-dar hain jo log hath tap rahe hain alaw par ulfat ke daere na bikhar jaen tut kar phenka karo na tanz ke patthar bahaw par chhanw jo apni bant chuka main wo ped hun be-saya ho ke khud ko lagaya hai dao par har jism dagh dagh libason ki aad mein lekin ye e'tiraaz faqat mere ghaw par