ye jahan bargah-e-ritl-giran hai saqi ek jahannam mere sine mein tapan hai saqi jis ne barbaad kiya mail-e-fariyaad kiya wo mohabbat abhi is dil mein jawan hai saqi ek din aadam o hawwa bhi kiye the paida wo ukhuwwat teri mahfil mein kahan hai saqi har chaman daman-e-gul-rang hai khun-e-dil se har taraf shewan-o-fariyaad-o-fughan hai saqi mah o anjum mere ashkon se guhar-tab hue kahkashan nur ki ek ju-e-rawan hai saqi husn hi husn hai jis samt bhi uthti hai nazar kitna pur-kaif ye manzar ye saman hai saqi zamzama saz ka pael ki chhanake ki tarah behtar-az-shorish-e-naqus-o-azan hai saqi mere har lafz mein betab mera shor-e-darun meri har sans mohabbat ka dhuan hai saqi