TuTe hain kaise KHwahishon ke aainon ko dekh

tute hain kaise khwahishon ke aainon ko dekh
palkon ki tah mein bikhri hui kirchiyon ko dekh

main hun tera hi aks mere rang par na ja
aankhon mein jhank apni hi tanhaiyon ko dekh

ye aasman ke badle hue rang ghaur kar
in mausamon ke biphre hue tewaron ko dekh

sun to dar-e-khayal pe farda ki dastaken
khud ka hisar tod ke jati ruton ko dekh

galiyon mein ghumti hain hazaron kahaniyan
chehron pe naqsh waqt ki pahnaiyon ko dekh

ek ek palak pe chhai hai mahrumiyon ki sham
zabt-e-sukhan ki aag mein jalte labon ko dekh

kahti hai 'sham' kuchh to makanon ki khamushi
be-muddaa nahin hain khule rauzanon ko dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close