ye jahan-e-ab-o-gil lagta hai ek maya mujhe har-qadam par justuju ne jis ki bahkaya mujhe zindagi-bhar mere apnon ne diya mujh ko fareb the jo begane unhon ne aa ke apnaya mujhe wada-e-imroz-o-farda mein ulajh kar rah gaya zindagi-bhar sabz-bagh ek aisa dikhlaya mujhe ek muamma jaise ho sab ke liye mera wajud har kisi ne apne apne zarf tak paya mujhe jis ko dekho gardish-e-haalat ka hai wo shikar har koi jaise nazar aata ho ghabraya mujhe ahl-e-duniya ne diye hain is qadar mujh ko fareb karta hai wahshat-zada ab apna hi saya mujhe us ki zulf-e-kham-ba-kham se ab nikalna hai muhaal ghamza-o-naz-o-ada se aisa uljhaya mujhe ab jahan koi nahin mere liye rah-e-farar mera jazb-e-shauq aakhir kis jagah laya mujhe jaun to jaun kahan koi nahin hai khizr-e-rah umr-bhar josh-e-junun ne mere tadpaya mujhe ab udata hai meri sahra-nawardi ka mazaq ishq karne ke liye tha jis ne uksaya mujhe kar di sab apni mata-e-zindagi jis par nisar ye jahan-e-rang-o-bu hargiz na ras aaya mujhe main samajhta tha jise apna rafiq-e-zindagi takhta-e-mashq-e-sitam us ne hi banwaya mujhe tha mera jo hashiya-bardar 'barqi'-azami us ne hi tauq-e-ghulami aa ke pahnaya mujhe