ye jang wo hai ki ab khud bhi haarna chahun magar main is ke liye bhi teri raza chahun mere ghulam mere aaine utha lana ki main is aag ko pani mein dekhna chahun main shakh shakh teri nikhaten fuzun dekhun main taq taq teri raushni sawa chahun ata hua teri khushbu se pairahan rakhkhun bhare hue tere rangon mein dast o pa chahun tamam shahr khamoshi ki nind soya hai main aise waqt mein ek khanjar-e-nawa chahun jo khema-gah se niklun to qatl-gah talak pata hua tere aaza se rasta chahun main ahd-nama-e-tanhai lene aai hun fasil-e-hijr ka ek ek bab wa chahun meri ridaen kanizon mein bant din jis ne kharaj-e-saya-e-diwar us se kya chahun