ye nahin gham ki main paband-e-gham-e-dauran thi ranj ye hai ki meri zat mera zindan thi subh se aaina chhute hue dar lagta hai raat hi khwab mein dekha tha ki mang afshan thi sukhti jati hai ab dhalti hui umr ke sath badh mehndi ki jo darwaze pe apne han thi shamen aur sae se dekhe gae tufan ki raat us haweli mein jo muddat se bahut viran thi khak mein khel ke sab nashw-o-numa pai hai bint-e-iflas hun main bhuk to meri man thi padh raha tha wo kisi aur ke aanchal pe namaz main bas aaina-o-quran liye hairan thi