ye jhut hai ki bichhadne ka us ko gham bhi nahin wo ro raha hai magar us ki aankh nam bhi nahin ye baat sach hai ki wo zindagi nahin meri magar wo mere liye zindagi se kam bhi nahin tujhe pata hi nahin meri rah kaisi hai tu chal sakega mere sath do qadam bhi nahin ye kya ki lagta hai ab sab ko khali khali sa mere alawa koi chiz ghar mein kam bhi nahin main tujh se jhuk ke mila hun magar ye dhyan rahe bada nahin hun magar tujh se qad mein kam bhi nahin shanakht us ki alag hai mera wajud alag juda bhi mujh se nahin hai wo mujh mein zam bhi nahin