yahan kaun is ke siwa rah gaya zamana gaya aaina rah gaya wo husn-e-sarapa wo husn-afrin magar har koi dekhta rah gaya chalo kya hua raushni hi to thi yahan dekhne ko bhi kya rah gaya hamari kuchh apni riwayat bhi thi kitabon mein likkha hua rah gaya khudai ko bhi hum na khush rakh sake khuda bhi khafa ka khafa rah gaya muqaddar kahin kaj-kulahi kare koi ghar mein mahw-e-dua rah gaya kahin ek chup bhi rasa ho gai koi bolta bolta rah gaya