ye ji mein aata hai jal jal ke har zaman naseh ki aag le ke jala dun teri zaban naseh na mana ishq-e-majazi se kar mujhe nadan yahi hai baam-e-haqiqat ki nardban naseh main tark-e-ishq-e-kamar yak-ba-yak karun kyunkar samajh ke mujh ko nasihat karo miyan naseh zalil hoga tu ek roz pand-e-beja se tujhe kharab karegi teri zaban naseh khuda ke waste bak bak ke mera maghz na kha na tark hogi kabhi ulfat-e-butan naseh baja-e-pand dilata hai husn par raghbat hazar shukr ki paya mizaj-dan naseh qubul itaat-e-pir-e-mughan badal karna hamari tarah se hota agar jawan naseh nasihat un ki kahani ki tarah sunta hun main jaanta hun ki hai ek qissa-khwan naseh jahan hasin nazar aaya koi pise wahin hum hamare sath phirega kahan kahan naseh zaif ho ke samajhta nahin tajjub hai karun shabab mein tark ulfat-e-butan naseh karam kiya hai gham-e-ishq ne mere dil mein main kis tarah na karun pas-e-mehman naseh hum aap band kiya karte hain hazaron ko hamare samne kholega kya zaban naseh buton ka kalima padhe tu abhi hamari tarah kamal-e-ishq agar pukhta ho ayan naseh main wo hun aashiq-e-diwana gar mujhe ki pand ba-rang-e-jaib uda dunga dhajjiyan naseh kahin hamari tarah ye bhi phans gaya shayad kuchh aaj-kal hai bahut hum pe mehrban naseh 'qalaq' na harf-e-nasihat zaban pe lae wo phir jo sun le meri mohabbat ki dastan naseh