ye jina is qadar aazar hoga kya pata tha

ye jina is qadar aazar hoga kya pata tha
ki marna bhi mera dushwar hoga kya pata tha

jise chhu kar haqiqat ki tahen khulne lagin thin
kahani ka koi kirdar hoga kya pata tha

mera har ek rasta chand tak jata hai lekin
tera ghar chand ke bhi par hoga kya pata tha

shikasta tan gareban chaak aur panw mein chhaale
phir is par rasta pur-khar hoga kya pata tha

meri qatil nigah-e-yar hogi kya khabar thi
mera maqtal dayar-e-yar hoga kya pata tha

kahani mein naya mauzua nae kirdar the par
wahi anjam phir is bar hoga kya pata tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close