ye kya tazad ab ke meri dastan mein hai

ye kya tazad ab ke meri dastan mein hai
ek shaiba-e-khanda bhi aah-o-fughan mein hai

mushtarka hain hamare ilaj-e-gham-e-hayat
jo meri aarti mein hai teri azan mein hai

kaisi hawa chali hai ki jis ka koi shumar
baad-e-bahaar mein hai na baad-e-khizan mein hai

sunte to the wasia bahut hai falak magar
wusat kahan in aankhon si is aasman mein hai

sad-jalwa ru-baru hai kahan par ruke nigah
shokhi fulan fulan mein nazakat fulan mein hai

kis ke lahu se karni hai sairab nok-e-khar
itni to sujh-bujh mere baghban mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close