ye jis ne jaan di hai nan dega diya hai jis ne sar saman dega mizha se us kaman-abru ki bachna wo nawak hai kaleja chhan dega mashaqqat se wo de ya be-mashaqqat ba-har-surat ba-har-unwan dega wo bosa de ke dil le kar ye bole ewaz ehsan ka kya insan dega milega qadr-dan-e-ishq hum ko khuda mashuq baiman dega sunenge tab butan-e-hind apni ijazat jab unhen shaitan dega fasana kohkan ka sun ke bole jo aashiq hoga wo hi jaan dega na thi ummid tujh se qasim bakht dil-e-pur-dard o pur-arman dega rah-e-ulfat ka hun kar-azmuda kisi ko dil koi anjaan dega chalega tir jab apni dua ka kaleje dushmanon ke chhan dega muqaddar se zyaada ek luqma gada kya lega kya sultan dega lipat jaunga un se roz-e-waslat agar mujh ko khuda ausan dega na phaila 'muntahi' dast-e-hawas ko wagarna ye tujhe nuqsan dega