khanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai mausam ki hawa ab ke junun-khez bahut hai ras aae to hai chhanw bahut barg o shajar ki hath aae to har shakh samar-rez bahut hai logo meri gul-kari-e-wahshat ka sila kya diwane ko ek harf-e-dil-awez bahut hai munim ki tarah pir-e-haram pite hain wo jam rindon ko bhi jis jam se parhez bahut hai maslub hua koi sar-e-rah-e-tamanna aawaz-e-jaras pichhle pahar tez bahut hai 'majruh' sune kaun teri talkh-nawai guftar-e-azizan shakar-amez bahut hai