ye jo diwane se do-chaar nazar aate hain in mein kuchh sahab-e-asrar nazar aate hain teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain warna ye log to bedar nazar aate hain dur tak koi sitara hai na koi jugnu marg-e-ummid ke aasar nazar aate hain mere daman mein shararon ke siwa kuchh bhi nahin aap phulon ke kharidar nazar aate hain kal jinhen chhu nahin sakti thi farishton ki nazar aaj wo raunaq-e-bazar nazar aate hain hashr mein kaun gawahi meri dega 'saghar' sab tumhaare hi taraf-dar nazar aate hain