ye jo ek sail-e-fana hai mere pichhe pichhe mere hone ki saza hai mere pichhe pichhe aage aage hai mere dil ke chatakhne ki sada aur meri gard-e-ana hai mere pichhe pichhe zindagi thak ke kisi mod pe rukti hi nahin kab se ye aabla-pa hai mere pichhe pichhe apna saya to main dariya mein baha aaya tha kaun phir bhag raha hai mere pichhe pichhe panw par panw ko rakhta hai chala aata hai mera naqsh-e-kaf-e-pa hai mere pichhe pichhe meri tanhai se takra ke palat jaegi ye jo khushbu-e-qaba hai mere pichhe pichhe main to dauda hun khud apne hi taaqub mein 'farid' chand kyun bhag pada hai mere pichhe pichhe