banai hai teri taswir main ne darte hue laraz raha tha mera hath rang bharte hue main inhimak mein ye kis maqam tak pahuncha tujhe hi bhul gaya tujh ko yaad karte hue nizam-e-kun ke sabab intishaar hai marbut ye kaenat simatti bhi hai bikharte hue kahin kahin to zamin aasman se unchi hai ye raaz mujh pe khula sidhiyan utarte hue hamein ye waqt daraata kuchh is tarah bhi hai thahar na jae kahin hadsa guzarte hue kuchh e'tibar nahin agli nasl par in ko wasiyaten nahin karte ye log marte hue har ek zarb to hoti nahin ayan 'asim' hazar naqsh hue mundamil ubharte hue