ye jo hasil hamein har shai ki farawani hai ye bhi to apni jagah ek pareshani hai zindagi ka hi nahin thor-thikana malum maut to tai hai ki kis waqt kahan aani hai koi karta hi nahin zikr wafadari ka in dinon ishq mein aasani hi aasani hai kab ye socha tha kabhi dost ki yun bhi hoga teri surat teri aawaz se pahchani hai chain lene hi nahin deti kisi pal mujh ko roz-e-awwal se mere sath jo hairani hai ye bhi mumkin hai ki aabaadi ho is se aage ye jo ta-hadd-e-nazar phailti virani hai kyun sitare hain kahin aur kahin aansu hain aankh walon ne yahi ramz nahin jaani hai takht se takhta bahut dur nahin hota hai bas yahi baat hamein aap ko batlani hai dost ki bazm hi wo bazm hai 'amjad' ki jahan aql ko sath mein rakhna badi nadani hai