ye jo hum atlas o kim-khwab liye phirte hain azmat-e-rafta ke aadab liye phirte hain dekh kar un ko laraz jati hai har mauj-e-bala apni kashti mein jo girdab liye phirte hain tir kitne hain lain aur tere tarkash mein dekh hum sina-e-be-tab liye phirte hain dekhna un ko bhi das legi kade waqt ki dhup wo jo kuchh khwahish-e-shadab liye phirte hain apni tahzib ka ab koi talabgar nahin be-sabab hum par-e-surkhab liye phirte hain mera bhi kasa-e-tabir hai khali khali wo bhi aankhon mein kai khwab liye phirte hain tirgi shahr-e-ghazalan se nikalti hi nahin lakh wo surat-e-mahtab liye phirte hain ye to sadqa hai husain-ibn-e-ali ka 'akhtar' tishnagi hum jo sar-e-ab liye phirte hain