ye jo mere andar phaili khamoshi hai tum kya jaano kitni gahri khamoshi hai us ki apni hi ek chhoti si duniya hai ek gudiya hai ek saheli khamoshi hai tera saya tere sath safar karta hai mere sath musalsal chalti khamoshi hai furqat ka dukh bas wo samjhe jis par bite main hun suna ghar hai gahri khamoshi hai shab ke pichhle lamhon mein aksar dekha hai tanhai se mil kar roti khamoshi hai ye mausam ye manzar ruthe ruthe se hain jaise sard rawayye waisi khamoshi hai lagta hai ki tum ne bhi kuchh dekh liya hai har lamhe jo tum par tari khamoshi hai mujh ko 'ansar' roz pareshan kar deti hai tere honton par jo rahti khamoshi hai