ye kis ke soz ka hai bazm-e-jaan mein intizar ai dil ki aahen aaj su-e-alam-e-baala nahin jatin umiden jab meri badh aain to hans kar lage kahne ye barson qaid dil mein rah ke kyun ghabra nahin jatin nahin gustakh aaina muqabil hai khada koi ye hairan hai ki kyun aankhen teri sharma nahin jatin khada hun intizar-e-yar mein jun shakh-e-nargis main mujhe hairat hai kyun aankhen meri pathra nahin jatin tere gulshan mein taron ki bahaar ek hai ajab jadu ye kaliyan phul ban kar ai falak kumhla nahin jatin 'humayun' tera dil bhi gulshan-e-hasrat ka naghma hai khushi mein bhi teri baaten wo gham-afza nahin jatin