ye jo mujh par nikhaar hai sain aap hi ki bahaar hai sain aap chahen to jaan bhi le len aap ko ikhtiyar hai sain tum milate ho bichhde logon ko ek mera bhi yar hai sain kisi khunti se bandh dije use dil bada be-mahaar hai sain ishq mein laghzishon pe kije muaf sain ye pahli bar hai sain kul mila kar hai jo bhi kuchh mera aap se mustaar hai sain ek kashti bana hi dije mujhe koi dariya ke par hai sain roz aansu kama ke lata hun gham mera rozgar hai sain wusat-e-rizq ki dua dije dard ka karobar hai sain khar-zaron se ho ke aaya hun pairahan tar-tar hai sain kabhi aa kar to dekhiye ki ye dil kaisa ujda dayar hai sain