rishte ke uljhe dhagon ko dhire dhire khol rahi hai

rishte ke uljhe dhagon ko dhire dhire khol rahi hai
bitiya kuchh kuchh bol rahi hai pure ghar mein dol rahi hai

dil ke kahe se aankhon ne bazar mein ek saman chuna hai
hath bechaara soch raha hai jeb bhi khud ko tol rahi hai

raat ki aankhen banch raha hun kuchh kuchh to main bhanp raha hun
kuchh kuchh andar soch rahi hai kuchh kuchh bahar bol rahi hai

ek akela kuchh bhi bole kaun shahr mein us ki sunta
ped pe ek akeli bulbul jangal mein ras ghol rahi hai

jab bhi khud ke hath jale tab baat ye sab ko yaad aati hai
bachpan mein jo sikh mili thi ab tak wo anmol rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close