shikayat se gharaz kya muddaa kya nahin to dost dushman ka gila kya na aaya nama-bar ghabra raha hun nahin malum kya guzri hua kya bahut achchhi nihayat khub guzri aji aafat-zadon ka puchhna kya na do mujh ko mubarakbaad be-sud buri taqdir walon ka bhala kya ye kyun chitwan phiri kyun aankh badli bhala main ne qusur aisa kiya kya kab us kuche mein thahregi meri khak na hoga koi ehsan-e-hawa kya umid us se ghalat samjha ye o dil sitamgar se tamanna-e-wafa kya badha kar hath len un ko ye mushkil nasib aise mubarak phir dua kya na ghabrao aji karwat na badlo irade hain abhi khatir mein kya kya ye kab tak parsai aashiqon se mohabbat hai to phir hum se haya kya jigar pani hai sadmon se lahu dil mere sine mein o zalim raha kya kiya hota koi ehsan to zalim karenge shukr tera hum ada kya nahin mumkin ki tujh ko rahm aae wo main kya aur meri iltija kya maaz-allah gar hai naujawani rahoge umr-bhar tum parsa kya kahan hai dard dil mein jo kaho hae maza dega hamara majra kya kise dekha ki bhola aap ko bhi tajjub hai ye mujh ko ho gaya kya 'nasim' aao zara tum bhi suno to ye charcha ho raha hai ja-ba-ja kya