ye jo teri aankhon mein mani-e-wafa sa hai kasa-e-tamanna ke harf-e-muddaa sa hai mere khun ki surkhi surkhi-e-wafa thahri jis se ru-e-qatil bhi surkh-ru bana sa hai qatl-gah-e-arman hai jis ki mahfil-e-ishrat wo nigar-e-fitna-za paikar-e-wafa sa hai jab se mujh ko hasil hai tere qurb ki daulat naqsh-e-sang-e-painda mujh pe aaina sa hai lafz aur mani ka ye talluq-e-baham pesh-e-dida-e-bina rishta-e-wafa sa hai rakhsh-e-fikr ko apne kijiye zara mahmez nau-ba-nau mazamin ka dar abhi khula sa hai bab-e-shahr-e-irfan ke nur-e-chashm ka hai faiz parcham-e-jahul-e-waqt jo jhuka jhuka sa hai dushmanon ke narghe mein main khada hun tanha sa marka mohabbat ka jang-e-karbala sa hai hont tere phulon se baat teri khushbu si rup chand sa tera dil bhi aaina sa hai parcham-e-mohabbat hai jab se mere hathon mein dard dil-nashin sa hai zakhm dil-ruba sa hai dam mein sar uthata hai dam mein tut jata hai dil bhi bahr-e-ulfat mein koi bulbula sa hai shor-e-hashr barpa hai ya ki shor-e-tanhai hain bujhi bujhi aankhen dil dara dara sa hai wo nigah-e-jaanan ka ghamza-e-bala-angez mushaf-e-mohabbat ke harf-e-ibtida sa hai mere dil ki khatir to ye fasana-e-hasti zakhm-e-be-rafu sa hai dard-e-la-dawa sa hai bas teri nigahon mein ehtijaj hai baatil har jafa munasib si har sitam rawa sa hai nind kyun nahin aati khwab khwab aankhon ko shahr-e-jaan mein har jaanib kyun ye rat-jaga sa hai chehra-e-mohabbat par hai usi se tabani ye ghubar pa-e-naz ghaza-e-wafa sa hai mujh ko mil hi jaegi ek na ek din manzil bas isi tawaqqo par dil mein hausla sa hai kaun hai jo rakhta hai dost is qadar mujh ko ajnabi si duniya mein kaun aashna sa hai ai 'zafar' na chhodega wo mujhe dua dena yun to hai wo barham sa yun to wo khafa sa hai