ye junun ke marke itne nahin aasan bhi

ye junun ke marke itne nahin aasan bhi
soch lena is mein ja sakti hai teri jaan bhi

raushni bhi chahiye taza hawa ke sath sath
khidkiyan rakhta hun apne ghar mein roshan-dan bhi

zindagi mein jo tumhein khud se ziyaada the aziz
un se milne kya kabhi jate ho qabristan bhi

ganw ki pagdandiyan pakki sadak se ja milin
tang galiyon mein badal kar rah gae maidan bhi

pasban-e-aql ne to mujh ko samjhaya bahut
tha magar pahlu mein mere dil sa ek nadan bhi

khushk hain dariya samundar kat gae jangal tamam
ret se khali hue jate hain registan bhi

mere lafzon ke ujale mand padte jaenge
dhund mein kho jaegi ek din meri pahchan bhi

khud ko kaise qatl hone se bachata mein 'talab'
raat mere ghar mein ek qatil tha aur mehman bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close