wo jis ne dhaal diya barf ko sharare mein main kab se soch raha hun usi ke bare mein na jaane nind se kab ghar ke log jagenge ki ab to dhup chali aai hai osare mein main jag jag ke shab bhar use talashta hun likha hua hai mera nam ek sitare mein khilegi dhup to wadi ka rang nikhrega abhi to os ki ek dhund hai nazare mein kabhi dimagh ko khatir mein hum ne laya nahin hum ahl-e-dil the hamesha rahe khasare mein 'talab' ye soch ke lag jae na zaban mein zang kisi se baat main karta nahin ishaare mein