ye kaenat to hai pitara faqir ka hota nahin ghurub sitara faqir ka duniya murid ban ke khadi hai magar hunuz faqa mein ho raha hai guzara faqir ka sadqe mein mil gain thin duaen faqir se chamkega to hayat-sitara faqir ka thokar mein us ko rakhna hi kar-e-sawab hai duniya to hai janab utara faqir ka ye kaifiyat bayan mein aati nahin 'nisar' jab gunjta hai zehn mein nara faqir ka