din ko rahte jhil par dariya kinare raat ko yaad rakhna chand taro is hamari baat ko ab kahan wo mahfilen hain ab kahan wo ham-nashin ab kahan se laen un guzre hue lamhat ko pad chuki hain utni girhen kuchh samajh aata nahin kaise suljhaen bhala uljhe hue haalat ko kitni tufani thin raaten jin mein do diwane dil thapkiyan dete rahe bhadke hue jazbaat ko dard mein dubi hui lai ban gai hai zindagi bhul jate kash hum ulfat-bhare naghmat ko wo ki apne pyar ki thi bhigi bhigi ibtida yaad kar ke ro diya dil aaj us barsat ko