ye kaha usne mere shauq ke afsane par

ye kaha us ne mere shauq ke afsane par
be-adab shama kahin girti hai parwane par

aan dilwate ho rakh rakh ke jo parwane par
chot aae na kahin zabt ke paimane par

un se kah de koi wo aa ke tamasha dekhen
phul barsate hain log aap ke diwane par

mud ke rahmat ki taraf ki jo nazar maston ne
aa gaya abr-e-siyah jhum ke mai-khane par

yaad tuta hua dil aa gaya pahron roe
pad gai aankh jo tute hue paimane par

khinch gai subh-e-qayamat ki mujassam taswir
aa gaya dhal ke dupatta jo kabhi shane par

yaad aaya koi nakaam-e-tamanna 'muztar'
ro diye aaj wo kyon qais ke afsane par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close