ye kaho ye na kaho aise kaho aise nahin sun ai naqqad teri god ke hum pale nahin hum chhide-chhant yak-o-tanha adab ka maidan koi ham-zulf nahin aur sasur sale nahin momin o kafir o mushrik na to murtad mulhid apne dande to kisi se bhi kahin milte nahin rukhi-phiki si kabhi chatni kahin sadi si dal apni ghazlon ke muqaddar mein siri-pae nahin badi na-samjhi hai har shai ka samajh lena bhi zehn afkar se aari hai agar jale nahin tuf hai un aankhon pe jo khud mein ulajh kar rah jaen wo nigah kya jo yahan take wahan jhanke nahin be-niyazana jiye jate hain apni dhun mein bankpan kho na kahin jae nahin hae nahin