ye kaisa kar-e-duniya ho raha hai lahu insan ka sasta ho raha hai zara haalat kya badle hamare jo apna tha paraya ho raha hai dilon ka mail badhta ja raha hai bashar andar se kala ho raha hai ghataen khushk hoti ja rahi hain jo dariya tha wo sahra ho raha hai yahi hota raha hai hum se akasr hamare sath jaisa ho raha hai qadam padne lage hain sab ke ulte har ek rasta hi tedha ho raha hai 'nabil'-ahmad kabhi dekha hai tum ne bashar kitna akela ho raha hai